Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nikhar rahi hai har ek roz zindagi dil ki

Saifi Premi

nikhar rahi hai har ek roz zindagi dil ki

Saifi Premi

MORE BYSaifi Premi

    nikhar rahī hai har ik roz zindagī dil

    ki un ke ġham se musalsal hai dostī dil

    kise ḳhabar hai mohabbat pe kyā guzar jaa.e

    tirī nazar na baḌhā.e jo raushnī dil

    nigāh-e-aql pe chhā.e hue haiñ andeshe

    tirī talāsh ko niklī hai be-ḳhudī dil

    hamārī shām-e-alālat pe kā.enāt nisār

    ḳhulūs-e-dost se rag-rag nikhar ga.ī dil

    vo ibtidā-e-mohabbat meñ ḳhām-kār ravish

    hameñ bhī yaad hai be-vaj.h barhamī dil

    hue haiñ aaj to mānūs bāzū-e-rangīñ

    kahīñ ġhurūr meñ bahke na āgahī dil

    ḳhulūs-e-ishq baḌe marhaloñ se guzrā hai

    tab us ke sāmne pahuñchī hai zindagī dil

    vo kah rahe haiñ ki dīvāna ham banā deñge

    ab is maqām pe laa.ī hai kāfirī dil

    is ik nazar ke sivā aur kaun dekh sake

    nikharte chāñd zau meñ shaguftagī dil

    rah-e-hayāt ke kuchh tajrabe sahī 'saifī'

    sukūt-e-aql se behtar hai gum-rahī dil

    nikhar rahi hai har ek roz zindagi dil ki

    ki un ke gham se musalsal hai dosti dil ki

    kise KHabar hai mohabbat pe kya guzar jae

    teri nazar na baDhae jo raushni dil ki

    nigah-e-aql pe chhae hue hain andeshe

    teri talash ko nikli hai be-KHudi dil ki

    hamari sham-e-alalat pe kaenat nisar

    KHulus-e-dost se rag-rag nikhar gai dil ki

    wo ibtida-e-mohabbat mein KHam-kar rawish

    hamein bhi yaad hai be-wajh barhami dil ki

    hue hain aaj to manus bazu-e-rangin

    kahin ghurur mein bahke na aagahi dil ki

    KHulus-e-ishq baDe marhalon se guzra hai

    tab us ke samne pahunchi hai zindagi dil ki

    wo kah rahe hain ki diwana hum bana denge

    ab is maqam pe lai hai kafiri dil ki

    is ek nazar ke siwa aur kaun dekh sake

    nikharte chand ki zau mein shaguftagi dil ki

    rah-e-hayat ke kuchh tajrabe sahi 'saifi'

    sukut-e-aql se behtar hai gum-rahi dil ki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now