nikhar saki hai na gul ki na Khaar ki surat
nikhar sakī hai na gul kī na ḳhaar kī sūrat
bahār ab ke na aa.ī bahār kī sūrat
na jaane kaun sī sarsar chalī ki gulshan meñ
uḌā diyā hameñ musht-e-ġhubār kī sūrat
janāb-e-shaiḳh dikhā.eñ mudāhanat kaise
na rah ga.ī koī baaqī farār kī sūrat
ye us ke chehre se kuchh bhī pata na chaltā thā
ki vo adū kī hai sūrat ki yaar kī sūrat
tū hai hamārā vafādār yā raqīb kā hai
dikhā de ab to koī ār-pār kī sūrat
nikhar saki hai na gul ki na KHar ki surat
bahaar ab ke na aai bahaar ki surat
na jaane kaun si sarsar chali ki gulshan mein
uDa diya hamein musht-e-ghubar ki surat
janab-e-shaiKH dikhaen mudahanat kaise
na rah gai koi baqi farar ki surat
ye us ke chehre se kuchh bhi pata na chalta tha
ki wo adu ki hai surat ki yar ki surat
tu hai hamara wafadar ya raqib ka hai
dikha de ab to koi aar-par ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.