nikhar sanwar kar kisi ka joban phaban ke sanche mein Dhal raha hai
nikhar sanwar kar kisi ka joban phaban ke sanche mein Dhal raha hai
Pandit Tribhuvannath Zutshi Zar Dehlvi
MORE BYPandit Tribhuvannath Zutshi Zar Dehlvi
nikhar sañvar kar kisī kā joban phaban ke sāñche meñ Dhal rahā hai
javānī añgḌā.ī le rahī hai shabāb karvaT badal rahā hai
ḳhalā-malā ho ke ġhair se koī muuñg chhātī pe dal rahā hai
kisī ke armān bujh rahe haiñ kisī kā armāñ nikal rahā hai
tanī bhañveñ haiñ khiñchī hai chitvan kaḌe haiñ tevar jabīñ pe hai bal
na jaane kis par giregī bijlī ki sho'la ḳhanjar ugal rahā hai
nikhar sanwar kar kisi ka joban phaban ke sanche mein Dhal raha hai
jawani angDai le rahi hai shabab karwaT badal raha hai
KHala-mala ho ke ghair se koi mung chhati pe dal raha hai
kisi ke arman bujh rahe hain kisi ka arman nikal raha hai
tani bhanwen hain khinchi hai chitwan kaDe hain tewar jabin pe hai bal
na jaane kis par giregi bijli ki sho'la KHanjar ugal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.