nikhat-e-gul aaj-kal mujhko satati hai bahut
nik.hat-e-gul āj-kal mujh ko satātī hai bahut
ek laḌkī ḳhvāb meñ aa kar jagātī hai bahut
ek til jo gaal par hai mo'jiza sā hai koī
ābshāroñ jaisī us kī zulf bhātī hai bahut
haiñ ḳhutūt-e-jism meñ taare jaḌe jaise ka.ī
vo hasīñ jān-o-jigar mujh ko lubhātī hai bahut
vo agar hañs de to maiñ likh duuñ qasīde chāñd tak
'ishq karne kā salīqa vo sikhātī hai bahut
ai 'amān' ab kyā karūñ us ko manāne ke liye
ruuTh kar mujh se vo merā dil jalātī hai bahut
nikhat-e-gul aaj-kal mujh ko satati hai bahut
ek laDki KHwab mein aa kar jagati hai bahut
ek til jo gal par hai mo'jiza sa hai koi
aabshaaron jaisi us ki zulf bhati hai bahut
hain KHutut-e-jism mein tare jaDe jaise kai
wo hasin jaan-o-jigar mujh ko lubhati hai bahut
wo agar hans de to main likh dun qaside chand tak
'ishq karne ka saliqa wo sikhati hai bahut
ai 'aman' ab kya karun us ko manane ke liye
ruTh kar mujh se wo mera dil jalati hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.