nikhat-e-ishq se wabasta hain gesu tere
nik.hat-e-ishq se vābasta haiñ gesū tere
ham kahāñ jaa.eñ batā chhoḌ ke pahlū tere
terī sāñsoñ kī chhuan uf ye laboñ kī larzish
kaun samjhā hai yahāñ jism ke jaadū tere
ye uTheñ aur chaleñ muḌ ke kabhī ruk jaa.eñ
mujh meñ kyā DhūñDhte haiñ āñkhoñ ke aahū tere
koī ab jā-e-mafar mere liye hai hī nahīñ
jaan le leñge bulāte hue baazū tere
ab kisī aur ko dekhūñ bhī to kaise dekhūñ
jalve be-qābū phirā karte haiñ har-sū tere
sinf-e-nāzuk hai ġhazal pesh salīqe se aa
sher saḳhtī se na ā.eñge ye qaabū tere
kab kahāñ ḳhush hai kahāñ ġham se pareshāñ hai tū
hāl-e-dil mujh ko batā dete haiñ aañsū tere
nikhat-e-ishq se wabasta hain gesu tere
hum kahan jaen bata chhoD ke pahlu tere
teri sanson ki chhuan uf ye labon ki larzish
kaun samjha hai yahan jism ke jadu tere
ye uThen aur chalen muD ke kabhi ruk jaen
mujh mein kya DhunDhte hain aankhon ke aahu tere
koi ab ja-e-mafar mere liye hai hi nahin
jaan le lenge bulate hue bazu tere
ab kisi aur ko dekhun bhi to kaise dekhun
jalwe be-qabu phira karte hain har-su tere
sinf-e-nazuk hai ghazal pesh saliqe se aa
sher saKHti se na aaenge ye qabu tere
kab kahan KHush hai kahan gham se pareshan hai tu
haal-e-dil mujh ko bata dete hain aansu tere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.