nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai
nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai
Syed Zahiruddin Zaheer
MORE BYSyed Zahiruddin Zaheer
nik.hat jo tirī zulf-e-mo.ambar se uḌī hai
kab ḳhuld meñ ḳhushbū vo gul-e-tar se uḌī hai
hasrat bharī nazroñ se use dekh rahā huuñ
vo aab jo chalte hue ḳhanjar se uḌī hai
ik qābiz-e-arvāh ke hamrāh mirī ruuh
paikar se jo niklī to barābar se uḌī hai
vahshat ke sabab jab mirā ghar ho gayā vīrāñ
tab ghar ke ujaḌne kī ḳhabar ghar se uḌī hai
rindoñ kī bhī qismat kī ḳharābī kā hai afsos
mai ban ke parī shīsha-o-sāġhar se uḌī hai
saaqī ne tujhe tishna hī rakkhā hai 'zahīr' ab
shāyad mai-e-ishrat bhī muqaddar se uḌī hai
nikhat jo teri zulf-e-moambar se uDi hai
kab KHuld mein KHushbu wo gul-e-tar se uDi hai
hasrat bhari nazron se use dekh raha hun
wo aab jo chalte hue KHanjar se uDi hai
ek qabiz-e-arwah ke hamrah meri ruh
paikar se jo nikli to barabar se uDi hai
wahshat ke sabab jab mera ghar ho gaya viran
tab ghar ke ujaDne ki KHabar ghar se uDi hai
rindon ki bhi qismat ki KHarabi ka hai afsos
mai ban ke pari shisha-o-saghar se uDi hai
saqi ne tujhe tishna hi rakkha hai 'zahir' ab
shayad mai-e-ishrat bhi muqaddar se uDi hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 211)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.