nikhat-o-nur ka saman hoga
nikhat-o-nūr kā samāñ hogā
us kā charchā jahāñ-jahāñ hogā
vo jahāñ bhī ho āsmāñ hogā
ye na pūchho kahāñ kahāñ hogā
be-zamīrī kā raaz agar kholūñ
us kā chehra dhuāñ dhuāñ hogā
jān-o-dil se maiñ chāhtā huuñ jise
mujh se kyā vo bhī bad-gumāñ ho gā
mausam-e-nafrat-o-ta.assub hai
ab to gulshan ye be-nishāñ hogā
kyā abhī aur zaḳhm khāne haiñ
kyā abhī aur imtihāñ hogā
Dhā rahā hai jo 'dāġh' zulm-o-sitam
ek din vo bhī mehrbāñ hogā
nikhat-o-nur ka saman hoga
us ka charcha jahan-jahan hoga
wo jahan bhi ho aasman hoga
ye na puchho kahan kahan hoga
be-zamiri ka raaz agar kholun
us ka chehra dhuan dhuan hoga
jaan-o-dil se main chahta hun jise
mujh se kya wo bhi bad-guman ho ga
mausam-e-nafrat-o-tassub hai
ab to gulshan ye be-nishan hoga
kya abhi aur zaKHm khane hain
kya abhi aur imtihan hoga
Dha raha hai jo 'dagh' zulm-o-sitam
ek din wo bhi mehrban hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.