nikla hun tan-badan ka burada liye hue
niklā huuñ tan-badan kā burāda liye hue
lapkī hai aañkh aañkh tamāshā liye hue
jaane unheñ hai dast-shanāsoñ ne kyā kahā
phirte haiñ log haath meñ kaasa liye hue
saḌkoñ pe in dinoñ hai qayāmat kā ik samāñ
sab jā rahe haiñ ḳhvāb kā lāsha liye hue
jannat se is liye hai nikālā gayā tumheñ
phailo zamīñ pe nasl-e-tavānā liye hue
do chaar ahl-e-zauq mujhe mil ga.e vahāñ
pahuñchā jahāñ adab kā asāsa liye hue
dildār bāzuoñ meñ samā.egā lāziman
ghar se chalo jo puḳhta irāda liye hue
us bevafā kī baat kabhī Tāltā nahīñ
aa.e yahāñ ho jis kā havāla liye hue
suntā hai 'āftāb' jahāñ ishq kī pukār
jaatā vahīñ hai dil kā ḳhazāna liye hue
nikla hun tan-badan ka burada liye hue
lapki hai aankh aankh tamasha liye hue
jaane unhen hai dast-shanason ne kya kaha
phirte hain log hath mein kasa liye hue
saDkon pe in dinon hai qayamat ka ek saman
sab ja rahe hain KHwab ka lasha liye hue
jannat se is liye hai nikala gaya tumhein
phailo zamin pe nasl-e-tawana liye hue
do chaar ahl-e-zauq mujhe mil gae wahan
pahuncha jahan adab ka asasa liye hue
dildar bazuon mein samaega laziman
ghar se chalo jo puKHta irada liye hue
us bewafa ki baat kabhi Talta nahin
aae yahan ho jis ka hawala liye hue
sunta hai 'aftab' jahan ishq ki pukar
jata wahin hai dil ka KHazana liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.