nikla wo mah-ru makan se ab
niklā vo māh-rū makāñ se ab
mehr gum hogā āsmāñ se ab
minnateñ muddatoñ se kartā huuñ
kuchh to farmā.iye zabāñ se ab
us kī mahfil meñ maiñ jo jā baiThā
bole uTh jā.iye yahāñ se ab
dam-e-āḳhir to shakl dikhlā do
kuuch hai apnā is jahāñ se ab
kaam duniyā se kuchh nahīñ 'be-gun''
baiThe muñh moḌ kar jahāñ se ab
nikla wo mah-ru makan se ab
mehr gum hoga aasman se ab
minnaten muddaton se karta hun
kuchh to farmaiye zaban se ab
us ki mahfil mein main jo ja baiTha
bole uTh jaiye yahan se ab
dam-e-aKHir to shakl dikhla do
kuch hai apna is jahan se ab
kaam duniya se kuchh nahin 'be-gun
baiThe munh moD kar jahan se ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.