nikle jo ghar se un ke nazare mile hamein
nikle jo ghar se un ke nazāre mile hameñ
dilkash hasīn raat ke taare mile hameñ
un ke baġhair jiine kī hasrat thī nā-tamām
achchhā huā ki un ke sahāre mile hameñ
ham sang-e-mīl ban ke khaḌe haiñ tire liye
is rāste pe jis ke ishāre mile hameñ
bād-e-sabā mazāq ye kaisā hamāre saath
phūloñ kī chaah kī to sharāre mile hameñ
'māñjhī' hī laayā naav bhañvar se nikāl ke
qismat buland thī jo kināre mile hameñ
nikle jo ghar se un ke nazare mile hamein
dilkash hasin raat ke tare mile hamein
un ke baghair jine ki hasrat thi na-tamam
achchha hua ki un ke sahaare mile hamein
hum sang-e-mil ban ke khaDe hain tere liye
is raste pe jis ke ishaare mile hamein
baad-e-saba mazaq ye kaisa hamare sath
phulon ki chah ki to sharare mile hamein
'manjhi' hi laya naw bhanwar se nikal ke
qismat buland thi jo kinare mile hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.