nikle the apne hathon se jo ghar sameT kar
nikle the apne hāthoñ se jo ghar sameT kar
har samt rakh diyā vahī manzar sameT kar
jaanā hī gar huā hai muqaddar to jā.iye
aañsū tamām aañkh ke andar sameT kar
ab shart-e-ehtiyāt ko madd-e-nazar rakheñ
nikleñ jahāñ kahīñ bhī magar par sameT kar
kyā jāniye gumāñ thā haqīqat thā ḳhvāb thā
rakkhā thā ik vujūd meñ mahshar sameT kar
sunte haiñ aaj āḳhirī saa.il bhī mar gayā
rastoñ meñ munsifī ke vo chakkar sameT kar
'ḳhurram' amīr-e-shahr kī dariyā-dilī to dekh
baiThe haiñ kitne log yahāñ sar sameT kar
nikle the apne hathon se jo ghar sameT kar
har samt rakh diya wahi manzar sameT kar
jaana hi gar hua hai muqaddar to jaiye
aansu tamam aankh ke andar sameT kar
ab shart-e-ehtiyat ko madd-e-nazar rakhen
niklen jahan kahin bhi magar par sameT kar
kya jaaniye guman tha haqiqat tha KHwab tha
rakkha tha ek wujud mein mahshar sameT kar
sunte hain aaj aaKHiri sail bhi mar gaya
raston mein munsifi ke wo chakkar sameT kar
'KHurram' amir-e-shahr ki dariya-dili to dekh
baiThe hain kitne log yahan sar sameT kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.