nikle the to sar uncha tha malbus ana thi
nikle the to sar ūñchā thā malbūs anā thī
aur lauTe to sar ḳhāk-ba-kaf chaak qabā thī
ab tak ye ḳhalish baaqī hai jo umr hai guzrī
vo ḳhvāb thī yā ḳhvāb kī ta.abīr thī kyā thī
ik lahza ko hashr uTThā sar-e-kū-e-dil-e-zār
phir shahr-e-ḳhamoshī meñ fuġhāñ thī na navā thī
ai be-hisī-e-dil vo bhī karvā.e muqaffal
un hoñToñ kī har baat to tamsīl-e-duā thī
ik maiñ thā aur ik dosh pe bhaTkātī huī ziist
ik barg-e-ḳhizāñ-bār thā ik mauj-e-sabā thī
ye kaun tamarrud pe kamar-basta huā aaj
kal tak to har ik baat pe taslīm-o-razā thī
ye din bhī hai tū rauñd rahī hai mujhe duniyā
vo din bhī the jab tū mirī ḳhāk-e-kaf-e-pā thī
us sub.h-e-bahārāñ kā fusūñ TuuTā to dekhā
ik shahr-e-ḳhamoshāñ thā aur ik shām-e-qazā thī
maiñ ḳhush thā ki dāmān-e-gulistāñ meñ chhupā huuñ
sargardāñ mirī khoj meñ sahrā kī havā thī
nikle the to sar uncha tha malbus ana thi
aur lauTe to sar KHak-ba-kaf chaak qaba thi
ab tak ye KHalish baqi hai jo umr hai guzri
wo KHwab thi ya KHwab ki tabir thi kya thi
ek lahza ko hashr uTTha sar-e-ku-e-dil-e-zar
phir shahr-e-KHamoshi mein fughan thi na nawa thi
ai be-hisi-e-dil wo bhi karwae muqaffal
un honTon ki har baat to tamsil-e-dua thi
ek main tha aur ek dosh pe bhaTkati hui zist
ek barg-e-KHizan-bar tha ek mauj-e-saba thi
ye kaun tamarrud pe kamar-basta hua aaj
kal tak to har ek baat pe taslim-o-raza thi
ye din bhi hai tu raund rahi hai mujhe duniya
wo din bhi the jab tu meri KHak-e-kaf-e-pa thi
us subh-e-bahaaran ka fusun TuTa to dekha
ek shahr-e-KHamoshan tha aur ek sham-e-qaza thi
main KHush tha ki daman-e-gulistan mein chhupa hun
sargardan meri khoj mein sahra ki hawa thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.