nikli hai jab kabhi tere band-e-qaba ki baat
niklī hai jab kabhī tire band-e-qabā kī baat
dāman ko chaak karne lage haiñ junūñ ke haat
ik ajnabī kī tarh mile haiñ vo ham se aaj
kahne paḌeñge ‘ahd-e-guzashta ke vāqi’āt
yādoñ ke māhtāb tamannāoñ ke hujūm
sābit hue tamām shab-e-hijr be-sabāt
dāman-kashāñ vo ham se guzarte haiñ dosto
kahte the jo hamīñ ko kabhī hāsil-e-hayāt
detā rahā huuñ maiñ jinheñ tere sitam kā naam
yaad aa rahī haiñ ab vahī pichhlī navāzishāt
tanhā.iyoñ meñ hijr kī yaad aa gayā hai kaun
khulne lage haiñ zaḳhm mahakne lagī hai raat
kaise bachā.eñ dāman-e-ehsās-o-āgahī
lau de uThī hai aaj to ḳhāmoshi-e-hayāt
apnī vafā kā ham ko sila kyā mile 'matīn'
pahchāntī nahīñ hai hameñ chashm-e-iltifāt
nikli hai jab kabhi tere band-e-qaba ki baat
daman ko chaak karne lage hain junun ke hat
ek ajnabi ki tarh mile hain wo hum se aaj
kahne paDenge ‘ahd-e-guzashta ke waqi’at
yaadon ke mahtab tamannaon ke hujum
sabit hue tamam shab-e-hijr be-sabaat
daman-kashan wo hum se guzarte hain dosto
kahte the jo hamin ko kabhi hasil-e-hayat
deta raha hun main jinhen tere sitam ka nam
yaad aa rahi hain ab wahi pichhli nawazishat
tanhaiyon mein hijr ki yaad aa gaya hai kaun
khulne lage hain zaKHm mahakne lagi hai raat
kaise bachaen daman-e-ehsas-o-agahi
lau de uThi hai aaj to KHamoshi-e-hayat
apni wafa ka hum ko sila kya mile 'matin'
pahchanti nahin hai hamein chashm-e-iltifat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.