nikli wo zindagi se to pamal ho gaya
niklī vo zindagī se to pāmāl ho gayā
jaise ruvāñ ruvāñ mirā kañgāl ho gayā
bigḌā huā hai hijr meñ kuchh vaqt kā nizām
lamha guzar na paayā ki ik saal ho gayā
mushkil hai ye hisāb ka.ī hijratoñ ke baa'd
achchhā hai merā haal ki bad-hāl ho gayā
bas yuuñ hī ik ġhazal sī use dekh kar huī
phir is ke baa'd pyaar kā janjāl ho gayā
maiñ jab gulāb chuum rahā thā to dekh kar
chehra kisī kā sharm se kyuuñ laal ho gayā
nikli wo zindagi se to pamal ho gaya
jaise ruwan ruwan mera kangal ho gaya
bigDa hua hai hijr mein kuchh waqt ka nizam
lamha guzar na paya ki ek sal ho gaya
mushkil hai ye hisab kai hijraton ke ba'd
achchha hai mera haal ki bad-haal ho gaya
bas yun hi ek ghazal si use dekh kar hui
phir is ke ba'd pyar ka janjal ho gaya
main jab gulab chum raha tha to dekh kar
chehra kisi ka sharm se kyun lal ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.