nipaT ye majra yaro kaDa hai
nipaT ye mājrā yaaro kaḌā hai
musāfir dushmanoñ meñ aa paḌā hai
raqīb apne upar hote haiñ maġhrūr
ġhalat jānāñ hai haq sab siiñ baḌā hai
jo vo bole soi vo boltā hai
raqīb ab bhuut ho kar sar chaḌhā hai
ḳhudā hāfiz hai mere dil kā yaaro
pathar siiñ jā ke ye shīsha laḌā hai
ba-rañg-e-māhi-e-be-āb nas din
sajan niiñ dil hamārā taḌphaḌā hai
raqībāñ kī nahīñ faujāñ kā visvās
udhar siiñ āshiqāñ kā bhī dhaḌā hai
kare kyā 'ābrū' kyūñkar milan ho
raqībāñ ke sanam bas meñ paḌā hai
nipaT ye majra yaro kaDa hai
musafir dushmanon mein aa paDa hai
raqib apne upar hote hain maghrur
ghalat jaanan hai haq sab sin baDa hai
jo wo bole soi wo bolta hai
raqib ab bhut ho kar sar chaDha hai
KHuda hafiz hai mere dil ka yaro
pathar sin ja ke ye shisha laDa hai
ba-rang-e-mahi-e-be-ab nas din
sajan nin dil hamara taDphaDa hai
raqiban ki nahin faujaan ka wiswas
udhar sin aashiqan ka bhi dhaDa hai
kare kya 'abru' kyunkar milan ho
raqiban ke sanam bas mein paDa hai
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 247)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.