nisbaton ke bhanwar mein rahti hun
nisbatoñ ke bhañvar meñ rahtī huuñ
yuuñ to apne hī ghar meñ rahtī huuñ
ek chehra mirī nigāh meñ hai
ik musalsal safar meñ rahtī huuñ
Thes lagne se TuuT jaatā hai
ek shīshe ke ghar meñ rahtī huuñ
yuuñ to kahne ko chāñd-tārā sahī
varna sūraj nagar meñ rahtī huuñ
maiñ alag kab huuñ aur maaoñ se
beTiyoñ kī nazar meñ rahtī huuñ
nisbaton ke bhanwar mein rahti hun
yun to apne hi ghar mein rahti hun
ek chehra meri nigah mein hai
ek musalsal safar mein rahti hun
Thes lagne se TuT jata hai
ek shishe ke ghar mein rahti hun
yun to kahne ko chand-tara sahi
warna suraj nagar mein rahti hun
main alag kab hun aur maon se
beTiyon ki nazar mein rahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.