nisha ghabra ke kashanon se viranon mein aa pahunche
nisha ghabra ke kashanon se viranon mein aa pahunche
Krishn Soni Nisha
MORE BYKrishn Soni Nisha
'nishā' ghabrā ke kāshānoñ se vīrānoñ meñ aa pahuñche
bahār aa.ī to ahl-e-dil bayābānoñ meñ aa pahuñche
hamārī kyā ḳhatā hai ye ḳhatā dair-o-haram kī hai
ḳhudā kā ghar na raas aaya to mai-ḳhānoñ meñ aa pahuñche
hamārī gumrahī āḳhir hameñ raste pe le aa.ī
ḳhirad ke dasht-o-dar se chal ke insānoñ meñ aa pahuñche
guloñ kī bāryābī kā sabab rang-o-latāfat hai
ye kāñTe kis tarah āḳhir gulistānoñ meñ aa pahuñche
qarīñ jab aa ga.ī manzil to jaane kyā hameñ sūjhī
palaT kar az-sar-e-nau phir unhīñ rāhoñ meñ aa pahuñche
abhī hai duur faiz-e-sohbat-e-iḳhlās kī duniyā
jo mai-ḳhvāroñ tak aa jaa.e to insānoñ meñ aa pahuñche
na aatā thā na aa.e vo kuchh aisī baat thī lekin
ye kyā kam hai dabe paañv mire sheroñ meñ aa pahuñche
'nisha' ghabra ke kashanon se viranon mein aa pahunche
bahaar aai to ahl-e-dil bayabanon mein aa pahunche
hamari kya KHata hai ye KHata dair-o-haram ki hai
KHuda ka ghar na ras aaya to mai-KHanon mein aa pahunche
hamari gumrahi aaKHir hamein raste pe le aai
KHirad ke dasht-o-dar se chal ke insanon mein aa pahunche
gulon ki baryabi ka sabab rang-o-latafat hai
ye kanTe kis tarah aaKHir gulistanon mein aa pahunche
qarin jab aa gai manzil to jaane kya hamein sujhi
palaT kar az-sar-e-nau phir unhin rahon mein aa pahunche
abhi hai dur faiz-e-sohbat-e-iKHlas ki duniya
jo mai-KHwaron tak aa jae to insanon mein aa pahunche
na aata tha na aae wo kuchh aisi baat thi lekin
ye kya kam hai dabe panw mere sheron mein aa pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.