nishan-e-sajda pe itna guman achchha nahin
nishān-e-sajda pe itnā gumān achchhā nahīñ
ba-roz-e-hashr ḳhudā dil paḌhegā chehra nahīñ
vo sāneha thā kisī ne mujhe bachāyā nahīñ
par us ke baa'd koī shaḳhs muskurāyā nahīñ
bahut se log mire saath chal rahe haiñ magar
ye aisī bhiiḌ hai jis meñ koī kisī kā nahīñ
bhañvar uThe haiñ mire nāḳhudā kī āñkhoñ se
maiñ jāntā huuñ ki dariyā to itnā gahrā nahīñ
muhājiroñ ke muqaddar meñ bas añdhere haiñ
vahāñ charāġh nahīñ the yahāñ ujālā nahīñ
ye kam nahīñ hai ki zaḳhmoñ pe mutma.in huuñ bahut
ye ġham nahīñ hai koī saath rone vaalā nahīñ
maiñ apnī tīra-nasībī se haar maan gayā
tamām umr jalā aur jagmagāyā nahīñ
nishan-e-sajda pe itna guman achchha nahin
ba-roz-e-hashr KHuda dil paDhega chehra nahin
wo saneha tha kisi ne mujhe bachaya nahin
par us ke ba'd koi shaKHs muskuraya nahin
bahut se log mere sath chal rahe hain magar
ye aisi bhiD hai jis mein koi kisi ka nahin
bhanwar uThe hain mere naKHuda ki aankhon se
main jaanta hun ki dariya to itna gahra nahin
muhajiron ke muqaddar mein bas andhere hain
wahan charagh nahin the yahan ujala nahin
ye kam nahin hai ki zaKHmon pe mutmain hun bahut
ye gham nahin hai koi sath rone wala nahin
main apni tira-nasibi se haar man gaya
tamam umr jala aur jagmagaya nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.