nishan manzil ka batlaya na mujhko ham-safar jaana
nishāñ manzil kā batlāyā na mujh ko ham-safar jaanā
tazabzub meñ paḌā hai vo jise maiñ ne ḳhizar jaanā
nazar merī basīrat ko sadā mahdūd rakhtī hai
pas-e-manzar nahīñ dekhā faqat pesh-e-nazar jaanā
jahāñ taqdīr le jaa.e vahāñ raste nahīñ jaate
kiyā thā ruḳh idhar kā kyuuñ likhā thā jab udhar jaanā
havāla zindagī kā bhī tumhārī zulf jaisā hai
bikharnā phir sañvar jaanā sañvarnā phir bikhar jaanā
junūñ kī raah ko ab tak samajh paa.e nahīñ sāhab
ki apne jism ko Dhā kar faqat jaañ se guzar jaanā
Duboyā jis ne kashtī ko use hī nā-ḳhudā samjhe
diye the jis ne saare dukh usī ko chāragar jaanā
unhīñ tārīk rāhoñ se guzarnā hai tumheñ 'ādil'
charāġh-e-jāñ jalā kar tum bilā ḳhauf-o-ḳhatar jaanā
nishan manzil ka batlaya na mujh ko ham-safar jaana
tazabzub mein paDa hai wo jise main ne KHizar jaana
nazar meri basirat ko sada mahdud rakhti hai
pas-e-manzar nahin dekha faqat pesh-e-nazar jaana
jahan taqdir le jae wahan raste nahin jate
kiya tha ruKH idhar ka kyun likha tha jab udhar jaana
hawala zindagi ka bhi tumhaari zulf jaisa hai
bikharna phir sanwar jaana sanwarna phir bikhar jaana
junun ki rah ko ab tak samajh pae nahin sahab
ki apne jism ko Dha kar faqat jaan se guzar jaana
Duboya jis ne kashti ko use hi na-KHuda samjhe
diye the jis ne sare dukh usi ko chaaragar jaana
unhin tarik rahon se guzarna hai tumhein 'adil'
charagh-e-jaan jala kar tum bila KHauf-o-KHatar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.