nit-nae zulm jhelta hun main
nit-na.e zulm jheltā huuñ maiñ
jurm ye hai ki sochtā huuñ maiñ
mujh ko sahrā-nashīñ rahne do
aane vāloñ kā rāsta huuñ maiñ
aa.ina rakh ke sāmne aksar
terī āñkhoñ meñ jhāñktā huuñ maiñ
mujh ko majzūb sab samajhte haiñ
ḳhud ko thoḌā sā jāntā huuñ maiñ
tujh se milne kī kyā karūñ koshish
ab to ḳhud se bhī bhāgtā huuñ maiñ
pahle chup se tumheñ shikāyat thī
ab ye kahte ho boltā huuñ maiñ
is tarah kaun tujh ko dekhegā
jis tarah tujh ko dekhtā huuñ maiñ
mere lahje ke dard ko samjho
tujh ko jaane se roktā huuñ maiñ
ab to 'āsif' ga.e zamānoñ se
apne baare meñ pūchhtā huuñ maiñ
nit-nae zulm jhelta hun main
jurm ye hai ki sochta hun main
mujh ko sahra-nashin rahne do
aane walon ka rasta hun main
aaina rakh ke samne aksar
teri aankhon mein jhankta hun main
mujh ko majzub sab samajhte hain
KHud ko thoDa sa jaanta hun main
tujh se milne ki kya karun koshish
ab to KHud se bhi bhagta hun main
pahle chup se tumhein shikayat thi
ab ye kahte ho bolta hun main
is tarah kaun tujh ko dekhega
jis tarah tujh ko dekhta hun main
mere lahje ke dard ko samjho
tujh ko jaane se rokta hun main
ab to 'asif' gae zamanon se
apne bare mein puchhta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.