niyaz-e-ishq hai naz-e-butan hai
niyāz-e-ishq hai nāz-e-butāñ hai
mohabbat kā.enāt-e-do-jahāñ hai
hijābāt-e-ta.ayyun uTh rahe haiñ
nigāh-e-shauq terā imtihāñ hai
masarrat bhī baḌī ne.amat hai lekin
tire ġham se mujhe fursat kahāñ hai
na rahbar hai na jaada hai na manzil
nigāhoñ meñ ġhubār-e-kārvāñ hai
tire naqsh-e-qadam par chal rahā huuñ
ḳhudā jaane mirī manzil kahāñ hai
mirā zauq-e-siyah-kārī na pūchho
tumhāre hī karam kā imtihāñ hai
yahī shāyad hai takmīl-e-tasavvur
mujhe ḳhud par bhī ab un kā gumāñ hai
tum apne ġham kī azmat mujh se pūchho
tumhārā ġham hayāt-e-jāvidāñ hai
ye duniyā hai 'ra.īs'-e-soḳhta-jāñ
yahāñ har gaam par ik imtihāñ hai
niyaz-e-ishq hai naz-e-butan hai
mohabbat kaenat-e-do-jahan hai
hijabaat-e-tayyun uTh rahe hain
nigah-e-shauq tera imtihan hai
masarrat bhi baDi neamat hai lekin
tere gham se mujhe fursat kahan hai
na rahbar hai na jada hai na manzil
nigahon mein ghubar-e-karwan hai
tere naqsh-e-qadam par chal raha hun
KHuda jaane meri manzil kahan hai
mera zauq-e-siyah-kari na puchho
tumhaare hi karam ka imtihan hai
yahi shayad hai takmil-e-tasawwur
mujhe KHud par bhi ab un ka guman hai
tum apne gham ki azmat mujh se puchho
tumhaara gham hayat-e-jawidan hai
ye duniya hai 'rais'-e-soKHta-jaan
yahan har gam par ek imtihan hai
- Book : Kaif-e-sadrang (Pg. B-153 E-157)
- Author : Rais Niyazii Bachrauni
- Publication : Anjuman Taraqqi Urdu Haryana (1984)
- Edition : 1984
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.