niyaz-e-ishq se naz-e-butan tak baat ja pahunchi
niyāz-e-ishq se nāz-e-butāñ tak baat jā pahuñchī
zamīñ kā tazkira thā āsmāñ tak baat jā pahuñchī
mohabbat meñ kahīñ ik rāz-dāñ tak baat jā pahuñchī
bas ab kyā thā zamāne kī zabāñ tak baat jā pahuñchī
zamāna taaḌ legā maiñ na kahtā thā ye ab samjhe
mujhe dīvāna kahne se kahāñ tak baat jā pahuñchī
nizām-e-maikada par tabsire aur hosh vāloñ meñ
yahīñ se azmat-e-pīr-e-muġhāñ tak baat jā pahuñchī
sunā ye thā ki chashmak bijliyoñ ko hai bahāroñ se
huā ye hai ki mere āshiyāñ tak baat jā pahuñchī
rah-e-manzil meñ ai rah rah ke himmat hārne vaale
ḳhabar bhī hai ki mīr-e-kārvāñ tak baat jā pahuñchī
niyaz-e-ishq se naz-e-butan tak baat ja pahunchi
zamin ka tazkira tha aasman tak baat ja pahunchi
mohabbat mein kahin ek raaz-dan tak baat ja pahunchi
bas ab kya tha zamane ki zaban tak baat ja pahunchi
zamana taD lega main na kahta tha ye ab samjhe
mujhe diwana kahne se kahan tak baat ja pahunchi
nizam-e-maikada par tabsire aur hosh walon mein
yahin se azmat-e-pir-e-mughan tak baat ja pahunchi
suna ye tha ki chashmak bijliyon ko hai bahaaron se
hua ye hai ki mere aashiyan tak baat ja pahunchi
rah-e-manzil mein ai rah rah ke himmat haarne wale
KHabar bhi hai ki mir-e-karwan tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.