niyaz-o-ijz mujhe naz-e-sang-e-dar se mila
niyaz-o-ijz mujhe naz-e-sang-e-dar se mila
Mahir Qureshi Barelvi
MORE BYMahir Qureshi Barelvi
niyāz-o-ijz mujhe nāz-e-sang-e-dar se milā
ba-qadr-e-zarf milā jo tirī nazar se milā
talāsh-e-manzil-e-maqsūd rā.egāñ na ga.ī
nishān-e-jāda-e-manzil rah-e-ḳhatar se milā
tire ḳhayāl-o-tasavvur kī shoḳhiyoñ kī qasam
ḳhirad ko jāma-e-vahshat tirī nazar se milā
supurd-e-barq-o-sharar kar ke āshiyān-e-vafā
payām-e-soz-e-tamanna tirī nazar se milā
bisāt-e-dahr ulaT dī nigāh-e-ulfat ne
koī ishāra jahāñ chashm-e-mo'atabar se milā
jahān-e-aish-o-masarrat pe muskurā.ūñgā
ġham-e-zamāna jo mujh ko tirī nazar se milā
had-e-yaqīñ meñ to ab aa ga.e ho ai 'māhir'
ḳhabar hai husn-e-takallum ye kis ke dar se milā
niyaz-o-ijz mujhe naz-e-sang-e-dar se mila
ba-qadr-e-zarf mila jo teri nazar se mila
talash-e-manzil-e-maqsud raegan na gai
nishan-e-jada-e-manzil rah-e-KHatar se mila
tere KHayal-o-tasawwur ki shoKHiyon ki qasam
KHirad ko jama-e-wahshat teri nazar se mila
supurd-e-barq-o-sharar kar ke aashiyan-e-wafa
payam-e-soz-e-tamanna teri nazar se mila
bisat-e-dahr ulaT di nigah-e-ulfat ne
koi ishaara jahan chashm-e-mo'atabar se mila
jahan-e-aish-o-masarrat pe muskuraunga
gham-e-zamana jo mujh ko teri nazar se mila
had-e-yaqin mein to ab aa gae ho ai 'mahir'
KHabar hai husn-e-takallum ye kis ke dar se mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.