niyaz-o-naz baham ek hi manzil mein rahte hain
niyaz-o-naz baham ek hi manzil mein rahte hain
Qazi Jalal Haripuri
MORE BYQazi Jalal Haripuri
niyāz-o-nāz bāham ek hī manzil meñ rahte haiñ
ham un ke dil meñ rahte vo hamāre dil meñ rahte haiñ
vo jāneñ khelnā kyā mauj-e-tūfān-e-havādis se
jo tan-parvar bane ārām ke sāhil meñ rahte haiñ
amal darkār hai mumkin nahīñ kyā shai zamāne meñ
nihāñ parvāz ke par naqsh-e-āb-o-gil meñ rahte haiñ
shikasta hotā hai jibrīl kā par bhī jahāñ jā kar
ye putle ḳhaak ke vallāh us manzil meñ rahte haiñ
ḳhushī kā pesh-ḳhema un kā har ġham hai jo duniyā meñ
ġham-e-maujūd bhūle fikr-e-mustaqbil meñ rahte haiñ
'jalāl'-e-be-navā mushkil-pasand apnī tabī.at hai
isī baa.is ghire din raat ham mushkil meñ rahte haiñ
niyaz-o-naz baham ek hi manzil mein rahte hain
hum un ke dil mein rahte wo hamare dil mein rahte hain
wo jaanen khelna kya mauj-e-tufan-e-hawadis se
jo tan-parwar bane aaram ke sahil mein rahte hain
amal darkar hai mumkin nahin kya shai zamane mein
nihan parwaz ke par naqsh-e-ab-o-gil mein rahte hain
shikasta hota hai jibril ka par bhi jahan ja kar
ye putle KHak ke wallah us manzil mein rahte hain
KHushi ka pesh-KHema un ka har gham hai jo duniya mein
gham-e-maujud bhule fikr-e-mustaqbil mein rahte hain
'jalal'-e-be-nawa mushkil-pasand apni tabiat hai
isi bais ghire din raat hum mushkil mein rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.