niyaz-o-naz ka ye silsila nahin jata
niyāz-o-nāz kā ye silsila nahīñ jaatā
jafā ko chheḌ ke shauq-e-vafā nahīñ jaatā
khaTak rahī haiñ jo rag rag meñ pairtī phāñseñ
kisī se ek Thikāne rahā nahīñ jaatā
jo aap vaj.h na pūchheñ to ek baat kahūñ
baġhair aap ke mujh se jiyā nahīñ jaatā
ḳhatā muaaf bahut de diyā tumhārā saath
ab apne haal pe mujh se hañsā nahīñ jaatā
ye aur baat hai jab bhī uThā diye jaa.eñ
tumhārī bazm se lekin uThā nahīñ jaatā
ajiib tiir kaleje pe khaa.e baiThā huuñ
ajiib zaḳhm ki jis kā mazā nahīñ jaatā
jahāñ banāte hoñ qismat miTā ke ḳhuddārī
zamāna jaa.e to jaa.e 'razā' nahīñ jaatā
niyaz-o-naz ka ye silsila nahin jata
jafa ko chheD ke shauq-e-wafa nahin jata
khaTak rahi hain jo rag rag mein pairti phansen
kisi se ek Thikane raha nahin jata
jo aap wajh na puchhen to ek baat kahun
baghair aap ke mujh se jiya nahin jata
KHata muaf bahut de diya tumhaara sath
ab apne haal pe mujh se hansa nahin jata
ye aur baat hai jab bhi uTha diye jaen
tumhaari bazm se lekin uTha nahin jata
ajib tir kaleje pe khae baiTha hun
ajib zaKHm ki jis ka maza nahin jata
jahan banate hon qismat miTa ke KHuddari
zamana jae to jae 'raza' nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.