niyat bhanpne ka hunar jaanta hai
niyat bhāñpne kā hunar jāntā hai
mirā yaar paḌhnā nazar jāntā hai
zabardastī anjān hai ban rahā vo
mirā hāl-e-dil sar-basar jāntā hai
pata to haiñ ādāb-e-ishq us ko lekin
haañ itnā hai kuchh muḳhtasar jāntā hai
baḌī ḳhūbiyoñ vaalā hai chārāgar vo
mudāvā-e-dard-e-jigar jāntā hai
mujhe bandagī kā sabaq mat paḌhāo
kahāñ jhuknā hai merā sar jāntā hai
akelā nikal kar huā qāfila ik
kuchh aisā vo fann-e-safar jāntā hai
har ik ġham kā andāz jaise jahāñ meñ
faqat merā hī ek ghar jāntā hai
shifāyāb kis kī duā se huā huuñ
ye rab yā duā kā asar jāntā hai
guzārī hai umr us ne be-ḳhauf ho kar
magar kaisā hotā hai Dar jāntā hai
niyat bhanpne ka hunar jaanta hai
mera yar paDhna nazar jaanta hai
zabardasti anjaan hai ban raha wo
mera haal-e-dil sar-basar jaanta hai
pata to hain aadab-e-ishq us ko lekin
han itna hai kuchh muKHtasar jaanta hai
baDi KHubiyon wala hai chaaragar wo
mudawa-e-dard-e-jigar jaanta hai
mujhe bandagi ka sabaq mat paDhao
kahan jhukna hai mera sar jaanta hai
akela nikal kar hua qafila ek
kuchh aisa wo fann-e-safar jaanta hai
har ek gham ka andaz jaise jahan mein
faqat mera hi ek ghar jaanta hai
shifayab kis ki dua se hua hun
ye rab ya dua ka asar jaanta hai
guzari hai umr us ne be-KHauf ho kar
magar kaisa hota hai Dar jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.