Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nizam-e-gulshan-e-hasti badal ke dam lenge

Qaisar Nizami

nizam-e-gulshan-e-hasti badal ke dam lenge

Qaisar Nizami

MORE BYQaisar Nizami

    nizām-e-gulshan-e-hastī badal ke dam leñge

    hudūd-e-ranj-o-alam se nikal ke dam leñge

    shu'ūr hāsil-e-maqsad jise samajhtā hai

    ye azm hai usī manzil pe chal ke dam leñge

    matā-e-amn luTā.eñge ham zamāne meñ

    nizām-e-jabr-o-tashaddud kuchal ke dam leñge

    nadīm bahr-e-musībat meñ sūrat-e-tūfāñ

    machal machal ke uTheñge sañbhal ke dam leñge

    nahīñ pasand rivāj-e-kohan hameñ 'qaisar'

    na.e nizām ke sāñche meñ Dhal ke dam leñge

    nizam-e-gulshan-e-hasti badal ke dam lenge

    hudud-e-ranj-o-alam se nikal ke dam lenge

    shu'ur hasil-e-maqsad jise samajhta hai

    ye azm hai usi manzil pe chal ke dam lenge

    mata-e-amn luTaenge hum zamane mein

    nizam-e-jabr-o-tashaddud kuchal ke dam lenge

    nadim bahr-e-musibat mein surat-e-tufan

    machal machal ke uThenge sanbhal ke dam lenge

    nahin pasand riwaj-e-kohan hamein 'qaisar'

    nae nizam ke sanche mein Dhal ke dam lenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now