nizam-e-har-do-alam intizam-e-wusat-e-dil hai
nizam-e-har-do-alam intizam-e-wusat-e-dil hai
Mumtaz Ahmad Khan Khushtar
MORE BYMumtaz Ahmad Khan Khushtar
nizām-e-har-do-ālam intizām-e-vus.at-e-dil hai
ye jo kuchh hai vahī sab kuchh hai sab kuchh is meñ shāmil hai
mujhe aatā hai har mushkil ko āsānī banā lenā
mujhe mushkil nahīñ mushkil baḌī mushkil ye mushkil hai
talāsh-e-manzil-e-maqsūd hai ik shaġhl-e-bekārī
bahut kuchh ham ko apnī sa.i-e-lā-hāsil se hāsil hai
maqām-e-āfiyat miltā hai kab bargashta-qismat ko
ham aa pahoñche to yuuñ samjho balā manzil pe nāzil hai
bachā le jaa.e tū kashtī ko maujoñ ke thapeḌoñ se
abhī to duur hī āfiyyat-e-sāhil se sāhil hai
tire pas-māñdagān-e-rāh bhī haiñ rahbar-e-ālam
yahāñ to jo koī nāqis bhī hai kāmil se kāmil hai
hujūm-e-hasrat-o-armāñ se ghar ḳhālī nahīñ rahtā
jahāñ ham haiñ vahāñ har-vaqt ik mahfil kī mahfil hai
jahāñ ḳhud.dār bantā hai vahāñ ḳhud.dār bantā hai
yahī to haal 'ḳhushtar' hai jahāñ saa.il hai saa.il hai
nizam-e-har-do-alam intizam-e-wusat-e-dil hai
ye jo kuchh hai wahi sab kuchh hai sab kuchh is mein shamil hai
mujhe aata hai har mushkil ko aasani bana lena
mujhe mushkil nahin mushkil baDi mushkil ye mushkil hai
talash-e-manzil-e-maqsud hai ek shaghl-e-bekari
bahut kuchh hum ko apni sai-e-la-hasil se hasil hai
maqam-e-afiyat milta hai kab bargashta-qismat ko
hum aa pahonche to yun samjho bala manzil pe nazil hai
bacha le jae tu kashti ko maujon ke thapeDon se
abhi to dur hi aafiyyat-e-sahil se sahil hai
tere pas-mandagan-e-rah bhi hain rahbar-e-alam
yahan to jo koi naqis bhi hai kaamil se kaamil hai
hujum-e-hasrat-o-arman se ghar KHali nahin rahta
jahan hum hain wahan har-waqt ek mahfil ki mahfil hai
jahan KHuddar banta hai wahan KHuddar banta hai
yahi to haal 'KHushtar' hai jahan sail hai sail hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.