nizam-e-jabr ki zulmat pe sang-bari hai
nizam-e-jabr ki zulmat pe sang-bari hai
Ghulam Dastageer Sharar
MORE BYGhulam Dastageer Sharar
nizām-e-jabr kī zulmat pe sang-bārī hai
guzar hī jā.egī maanā ki raat bhārī hai
banāo shauq se apne makān shīshe ke
muḳhālifoñ ko magar shauq-e-sang-bārī hai
ġham-e-zamāna ġham-e-zindagī ġham-e-jānāñ
sulag rahe haiñ ḳhayālāt jang jaarī hai
har ek shai pe tasallut hai zar-parastoñ kā
ġharīb logoñ kī qismat meñ ashk-bārī hai
ye qātiloñ kī samajh meñ kabhī nahīñ aaya
hamārī aaj hai to kal tumhārī baarī hai
sunā hai apne shabistāñ se chal paḌī hai sabā
sahar kab aa.egī har dil meñ be-qarārī hai
jo un ko dekhā to royā bhī muskurāyā bhī
'sharar' ye jazba mohabbat kā iztirārī hai
nizam-e-jabr ki zulmat pe sang-bari hai
guzar hi jaegi mana ki raat bhaari hai
banao shauq se apne makan shishe ke
muKHalifon ko magar shauq-e-sang-bari hai
gham-e-zamana gham-e-zindagi gham-e-jaanan
sulag rahe hain KHayalat jang jari hai
har ek shai pe tasallut hai zar-paraston ka
gharib logon ki qismat mein ashk-bari hai
ye qatilon ki samajh mein kabhi nahin aaya
hamari aaj hai to kal tumhaari bari hai
suna hai apne shabistan se chal paDi hai saba
sahar kab aaegi har dil mein be-qarari hai
jo un ko dekha to roya bhi muskuraya bhi
'sharar' ye jazba mohabbat ka iztirari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.