nizam-e-zindagi bilkul alag tashkil hota hai
nizām-e-zindagī bilkul alag tashkīl hotā hai
ḳhalā meñ raushnī kā zā.iqa tabdīl hotā hai
nazar ke baar se ajsām hai.at chhoḌ dete haiñ
jahān-e-be-talab meñ aa.ina tafsīl hotā hai
bhañvar se pahle hī tartīb se nikle hue the ham
ḳhalā meñ hādisa bhī bā'is-e-takmīl hotā hai
koī ḳhvāhish na zid kī us badan ke saath maiñ ne bhī
mujhe mā'lūm hai ik shahr kab tahsīl hotā hai
dhamāka-dar-dhamāka 'āshiqī ke scene chalte haiñ
na.e mausam meñ apnā ghoñsla tabdīl hotā hai
nizam-e-zindagi bilkul alag tashkil hota hai
KHala mein raushni ka zaiqa tabdil hota hai
nazar ke bar se ajsam haiat chhoD dete hain
jahan-e-be-talab mein aaina tafsil hota hai
bhanwar se pahle hi tartib se nikle hue the hum
KHala mein hadisa bhi ba'is-e-takmil hota hai
koi KHwahish na zid ki us badan ke sath main ne bhi
mujhe ma'lum hai ek shahr kab tahsil hota hai
dhamaka-dar-dhamaka 'ashiqi ke scene chalte hain
nae mausam mein apna ghonsla tabdil hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.