noch kar phenk do baalon mein lagae hue phul
noch kar pheñk do bāloñ meñ lagā.e hue phuul
kaam ke rahte nahīñ kaam meñ laa.e hue phuul
maiñ isī soch meñ gum baiThā huuñ sāhil ke qarīb
kahāñ Thahreñge samundar meñ bahā.e hue phuul
is qadar gahrā ta'alluq hai mirā ḳhushbū se
sar pe rakh letā huuñ paañv tale aa.e hue phuul
ek bārīk se kamre meñ baserā hai mirā
kahāñ rakkhūñgā tire haath ke laa.e hue phuul
ye huā un se mulāqāt kā nuqsān mujhe
mere hāthoñ se nikalte hī parā.e hue phuul
vo mire paas se guzre haiñ bachā kar nazreñ
aur maiñ rah gayā hāthoñ meñ uThā.e hue phuul
jab vo yaad aate haiñ sāvan ke dinoñ meñ 'rāhī'
chuum letā huuñ maiñ bārish meñ nahā.e hue phuul
noch kar phenk do baalon mein lagae hue phul
kaam ke rahte nahin kaam mein lae hue phul
main isi soch mein gum baiTha hun sahil ke qarib
kahan Thahrenge samundar mein bahae hue phul
is qadar gahra ta'alluq hai mera KHushbu se
sar pe rakh leta hun panw tale aae hue phul
ek barik se kamre mein basera hai mera
kahan rakkhunga tere hath ke lae hue phul
ye hua un se mulaqat ka nuqsan mujhe
mere hathon se nikalte hi parae hue phul
wo mere pas se guzre hain bacha kar nazren
aur main rah gaya hathon mein uThae hue phul
jab wo yaad aate hain sawan ke dinon mein 'rahi'
chum leta hun main barish mein nahae hue phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.