nok-e-mizhgan par machalta hai sahab-e-arzu
nok-e-mizhgan par machalta hai sahab-e-arzu
Fatima Husaini Makhfi
MORE BYFatima Husaini Makhfi
nok-e-mizhgāñ par machaltā hai sahāb-e-ārzū
bulbul-e-ḳhush-lahn kyā sozāñ hai phir zer-e-gulū
bhar liyā nok-e-qalam se ḳhāme ne kis kā lahū
saf.ha-e-qirtās par phailī sadā-e-hā-o-hū
hai nafas par choT phir se yā-ilāhī al-amāñ
kis taraf le jā rahī hai kū-e-yār-e-nek-rū
haa.e vo tishna-labī ab dam nahīñ ik dam ko hai
aur maiḳhāne meñ to chhalkā.ī hai āb-e-subū
kis qadar sharmā rahā hai aa.ina ham se ki ab
koī bhī sūrat nazar aatī nahīñ hai rū-ba-rū
ek ḳhāmoshī samā'at ke havāle kyā huī
ham se har zarra huā jaatā hai mahv-e-guftugū
'ishq ne dī hai azaañ aao 'ibādat ke liye
zer-e-ḳhanjar apne ḳhuuñ se kar rahe haiñ ham vuzū
chāk-dāmānī rahe zer-e-ridā-e-‘ishq jab
phir bhalā kyoñ DhūñDhtī hai ye nazar dām-e-rafū
nok-e-mizhgan par machalta hai sahab-e-arzu
bulbul-e-KHush-lahn kya sozan hai phir zer-e-gulu
bhar liya nok-e-qalam se KHame ne kis ka lahu
safha-e-qirtas par phaili sada-e-ha-o-hu
hai nafas par choT phir se ya-ilahi al-aman
kis taraf le ja rahi hai ku-e-yar-e-nek-ru
hae wo tishna-labi ab dam nahin ek dam ko hai
aur maiKHane mein to chhalkai hai aab-e-subu
kis qadar sharma raha hai aaina hum se ki ab
koi bhi surat nazar aati nahin hai ru-ba-ru
ek KHamoshi sama'at ke hawale kya hui
hum se har zarra hua jata hai mahw-e-guftugu
'ishq ne di hai azan aao 'ibaadat ke liye
zer-e-KHanjar apne KHun se kar rahe hain hum wuzu
chaak-damani rahe zer-e-rida-e-‘ishq jab
phir bhala kyon DhunDhti hai ye nazar dam-e-rafu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.