Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nok-e-neza pe rakhte hain sar bhi

Shareef Ahmad Qureshi

nok-e-neza pe rakhte hain sar bhi

Shareef Ahmad Qureshi

MORE BYShareef Ahmad Qureshi

    nok-e-neza pe rakhte haiñ sar bhī

    aur hāthoñ meñ apne ḳhanjar bhī

    kyā ḳhabar koī kaise pesh aa.e

    phuul bhī rakhiye aur patthar bhī

    din bhī phirte haiñ le ke qismat ko

    lauT aate haiñ shaam ko ghar bhī

    chhat pe dilbar ke jo utarte the

    uḌ ga.e ab vo sab kabūtar bhī

    apne ham-sāya ḳhushī ke liye

    kar diyā us ne muntaqil ghar bhī

    jo tamanna hai puurī kar liije

    pesh hai sar bhī aur patthar bhī

    jis ke band-e-naqāb khulte na the

    kyā huī us ke sar chādar bhī

    jab paroñ ko havā katartī hai

    saath dete nahīñ haiñ shahpar bhī

    nok-e-neza pe rakhte hain sar bhi

    aur hathon mein apne KHanjar bhi

    kya KHabar koi kaise pesh aae

    phul bhi rakhiye aur patthar bhi

    din bhi phirte hain le ke qismat ko

    lauT aate hain sham ko ghar bhi

    chhat pe dilbar ke jo utarte the

    uD gae ab wo sab kabutar bhi

    apne ham-saya ki KHushi ke liye

    kar diya us ne muntaqil ghar bhi

    jo tamanna hai puri kar lije

    pesh hai sar bhi aur patthar bhi

    jis ke band-e-naqab khulte na the

    kya hui us ke sar ki chadar bhi

    jab paron ko hawa katarti hai

    sath dete nahin hain shahpar bhi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now