nujumi bas lakiren paDh rahe hain
nujūmī bas lakīreñ paḌh rahe haiñ
ye kis duniyā kī jānib baḌh rahe haiñ
siyāsat meñ yuuñ aage baḌh rahe haiñ
pahāḌoñ par makoḌe chaḌh rahe haiñ
tumhārā lams hai yā barq koī
badan par mere kāñTe chaḌh rahe haiñ
mohabbat falsafa hypnotism tak
tirī āñkhoñ meñ kyā kyā paḌh rahe haiñ
zarā āvāz T v kī karo kam
abhī bachche kitābeñ paḌh rahe haiñ
nazar-andāz karte the jo kal tak
ġhazal 'shādāb' kī vo paḌh rahe haiñ
nujumi bas lakiren paDh rahe hain
ye kis duniya ki jaanib baDh rahe hain
siyasat mein yun aage baDh rahe hain
pahaDon par makoDe chaDh rahe hain
tumhaara lams hai ya barq koi
badan par mere kanTe chaDh rahe hain
mohabbat falsafa hypnotism tak
teri aankhon mein kya kya paDh rahe hain
zara aawaz T w ki karo kam
abhi bachche kitaben paDh rahe hain
nazar-andaz karte the jo kal tak
ghazal 'shadab' ki wo paDh rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.