numaishon ka guzar kab rah-e-najat mein hai
numā.ishoñ kā guzar kab rah-e-najāt meñ hai
'ibādatoñ kā maza to añdherī raat meñ hai
baḌhe jo tīrgī-e-shab to aur maiñ chamkūñ
chamak sitāroñ ke jaisī hī merī zaat meñ hai
bichhaḌne vaale ko maiñ is liye nahīñ bhūlā
vo aa bhī saktā hai ye bhī tavaqquāt meñ hai
hai e'tirāf ki tā'rīf kar rahe ho tum
hasad kā pahlū bhī lekin tumhārī baat meñ hai
Dubo.egā hameñ sail-e-sitam 'asar' kaise
zamāne bhar kī du'ā to hamāre saath meñ hai
numaishon ka guzar kab rah-e-najat mein hai
'ibaadaton ka maza to andheri raat mein hai
baDhe jo tirgi-e-shab to aur main chamkun
chamak sitaron ke jaisi hi meri zat mein hai
bichhaDne wale ko main is liye nahin bhula
wo aa bhi sakta hai ye bhi tawaqquat mein hai
hai e'tiraf ki ta'rif kar rahe ho tum
hasad ka pahlu bhi lekin tumhaari baat mein hai
Duboega hamein sail-e-sitam 'asar' kaise
zamane bhar ki du'a to hamare sath mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.