numu ki aag se miTTi tahi thi karte kya
numū kī aag se miTTī tahī thī karte kyā
zamīñ kī kokh se dīvār-o-dar ubharte kyā
vo āsmāñ pe kahīñ thā zamīn par ham the
hamāre haath kabūtar ke par kutarte kyā
nazar thī abr kī fankāriyoñ meñ khoī huī
to ham ḳhayāl ke ḳhākoñ meñ rang bharte kyā
pasand aa ga.iiñ sahrā-navardiyāñ ham ko
junūñ-navāz thī fitrat ḳhirad pe marte kyā
ḳhalā kā rizq the āḳhir ḳhalā ke kaam aa.e
falak se aa ke sitāre zamīñ pe karte kyā
ham aise sahl-pasandoñ se duur rahte haiñ
jidhar thī bhiiḌ usī raah se guzarte kyā
jamāl-e-sāda ke sho.aloñ se jal rahe the ḳhayāl
vo yūñhī husn kā me.aar the sañvarte kyā
kisī tilism ne zehnoñ ko bāñdh rakkhā thā
ham apne aap meñ kab the kahīñ Thaharte kyā
shikastagī ke kuchh asbāb chāhiyeñ 'yāvar'
chalā na sang koī TūTte bikharte kyā
numu ki aag se miTTi tahi thi karte kya
zamin ki kokh se diwar-o-dar ubharte kya
wo aasman pe kahin tha zamin par hum the
hamare hath kabutar ke par kutarte kya
nazar thi abr ki fankariyon mein khoi hui
to hum KHayal ke KHakon mein rang bharte kya
pasand aa gain sahra-nawardiyan hum ko
junun-nawaz thi fitrat KHirad pe marte kya
KHala ka rizq the aaKHir KHala ke kaam aae
falak se aa ke sitare zamin pe karte kya
hum aise sahl-pasandon se dur rahte hain
jidhar thi bhiD usi rah se guzarte kya
jamal-e-sada ke shoalon se jal rahe the KHayal
wo yunhi husn ka mear the sanwarte kya
kisi tilism ne zehnon ko bandh rakkha tha
hum apne aap mein kab the kahin Thaharte kya
shikastagi ke kuchh asbab chahiyen 'yawar'
chala na sang koi TuTte bikharte kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.