numu ko shaKH ke aasar tak pahunchna hai
numū ko shāḳh ke āsār tak pahuñchnā hai
bikhar ke phuul ne mahkār tak pahuñchnā hai
ham apnī saltanat-e-sher meñ bahut ḳhush haiñ
vo aur haiñ jinheñ darbār tak pahuñchnā hai
ġharīb-e-shahr ke bahte lahū kā zikr faqat
vo surḳhiyāñ jinheñ aḳhbār tak pahuñchnā hai
hameñ jo chup sī lagī hai ye be-sabab to nahīñ
kisī ḳhayāl ko iz.hār tak pahuñchnā hai
tilism-e-umr kī tārīf saarī itnī sī
ik aa.ina jise zangār tak pahuñchnā hai
kuchh aise log jo shānoñ pe sar nahīñ rakhte
magar ye zo.am ki dastār tak pahuñchnā hai
vo din ga.e ki koī ashk poñchhne aa.e
yahāñ to aap ko ġham-ḳhvār tak pahuñchnā hai
numu ko shaKH ke aasar tak pahunchna hai
bikhar ke phul ne mahkar tak pahunchna hai
hum apni saltanat-e-sher mein bahut KHush hain
wo aur hain jinhen darbar tak pahunchna hai
gharib-e-shahr ke bahte lahu ka zikr faqat
wo surKHiyan jinhen aKHbar tak pahunchna hai
hamein jo chup si lagi hai ye be-sabab to nahin
kisi KHayal ko izhaar tak pahunchna hai
tilism-e-umr ki tarif sari itni si
ek aaina jise zangar tak pahunchna hai
kuchh aise log jo shanon pe sar nahin rakhte
magar ye zoam ki dastar tak pahunchna hai
wo din gae ki koi ashk ponchhne aae
yahan to aap ko gham-KHwar tak pahunchna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.