numud-e-subh par yun eatibar-e-sham aata hai
numud-e-subh par yun eatibar-e-sham aata hai
Habeeb Ahmad Anjum Datiavi
MORE BYHabeeb Ahmad Anjum Datiavi
numūd-e-sub.h par yuuñ e.atibār-e-shām aatā hai
ki jaise bād-e-fasl-e-gul ḳhizāñ kā naam aatā hai
tabassum bhī haiñ aañsū bhī haiñ un kī bazm meñ lekin
vahī hai kāmyāb-e-ishq jo nākām aatā hai
lagā leñ kyoñ na un ke dard ko shām-e-alam dil se
vahī hamdam hai apnā vaqt par jo kaam aatā hai
na qismat saath detī hai na dil hī saath detā hai
kisī ke āstāñ se jab koī nākām aatā hai
sunātā hai kisī ko koī jab pur-dard afsāna
na jaane kyoñ mire lab par tumhārā naam aatā hai
kisī kī be-ruḳhī se tark-e-ulfat kar to duuñ lekin
vafāoñ par mirī 'anjum' baḌā ilzām aatā hai
numud-e-subh par yun eatibar-e-sham aata hai
ki jaise baad-e-fasl-e-gul KHizan ka nam aata hai
tabassum bhi hain aansu bhi hain un ki bazm mein lekin
wahi hai kaamyab-e-ishq jo nakaam aata hai
laga len kyon na un ke dard ko sham-e-alam dil se
wahi hamdam hai apna waqt par jo kaam aata hai
na qismat sath deti hai na dil hi sath deta hai
kisi ke aastan se jab koi nakaam aata hai
sunata hai kisi ko koi jab pur-dard afsana
na jaane kyon mere lab par tumhaara nam aata hai
kisi ki be-ruKHi se tark-e-ulfat kar to dun lekin
wafaon par meri 'anjum' baDa ilzam aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.