nuqush-e-pa mein tajalli wajud ki baba
nuqūsh-e-pā meñ tajallī vajūd kī baabā
tamām raah meñ ḳhushbū hai uud kī baabā
tilismī haale meñ rahtā hai māh-e-āzādī
ajiib sūrateñ dekhīñ quyūd kī baabā
ye āñdhiyāñ na bujhā deñ charāġh-e-dil kī lau
ki hai shanāḳht ye apne vajūd kī baabā
qulūb-e-dīda-varāñ ko lahū rulātī hai
rag-e-hayāt meñ gardish jumūd kī baabā
yuuñ ḳhār-zār meñ khīñcho na ruuh kā dāman
mujhe havas nahīñ nām-o-numūd kī baabā
kabhī kabhī to habāb-e-muhīt-e-fikr meñ bhī
milī haiñ vus.ateñ charḳh-e-kabūd kī baabā
tajallī-zār huā hai ġhazal kā ā.īna
ye barkateñ haiñ salām-o-darūd kī baabā
'matīn' vaqt ne kaise ye din dikhā.e haiñ
haiñ chaar roTiyāñ qīmat sujūd kī baabā
nuqush-e-pa mein tajalli wajud ki baba
tamam rah mein KHushbu hai ud ki baba
tilismi haale mein rahta hai mah-e-azadi
ajib suraten dekhin quyud ki baba
ye aandhiyan na bujha den charagh-e-dil ki lau
ki hai shanaKHt ye apne wajud ki baba
qulub-e-dida-waran ko lahu rulati hai
rag-e-hayat mein gardish jumud ki baba
yun KHar-zar mein khincho na ruh ka daman
mujhe hawas nahin nam-o-numud ki baba
kabhi kabhi to habab-e-muhit-e-fikr mein bhi
mili hain wusaten charKH-e-kabud ki baba
tajalli-zar hua hai ghazal ka aaina
ye barkaten hain salam-o-darud ki baba
'matin' waqt ne kaise ye din dikhae hain
hain chaar roTiyan qimat sujud ki baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.