aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo
aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo
Fana Nizami Kanpuri
MORE BYFana Nizami Kanpuri
aisā banñā sañvarnā mubārak tumheñ kam se kam itnā kahnā hamārā karo
chāñd sharmā.egā chāñdnī raat meñ yuuñ na zulfoñ ko apnī sañvārā karo
ye tabassum ye aariz ye raushan jabīñ ye adā ye nigāheñ ye zulfeñ hasīñ
aa.ine kī nazar lag na jaa.e kahīñ jān-e-jāñ apnā sadqa utārā karo
dil to kyā chiiz hai jaan se jā.eñge maut aane se pahle hī mar jā.eñge
ye adā dekhne vaale luT jā.eñge yuuñ na hañs hañs ke dilbar ishāra karo
fikr-e-uqbā kī mastī utar jā.egī tauba TuuTī to qismat sañvar jā.egī
tum ko duniyā meñ jannat nazar aa.egī shaiḳh jī mai-kade kā nazāra karo
ḳhūbsūrat ghaTāoñ-bharī raat meñ lutf uThāyā karo aisī barsāt meñ
jaam le kar chhalaktā huā haath meñ mai-kade meñ bhī ik shab guzārā karo
kaam aa.e na mushkil meñ koī yahāñ matlabī dost haiñ matlabī yaar haiñ
is jahāñ meñ nahīñ koī ahl-e-vafā ai 'fanā' is jahāñ se kināra karo
aisa banna sanwarna mubarak tumhein kam se kam itna kahna hamara karo
chand sharmaega chandni raat mein yun na zulfon ko apni sanwara karo
ye tabassum ye aariz ye raushan jabin ye ada ye nigahen ye zulfen hasin
aaine ki nazar lag na jae kahin jaan-e-jaan apna sadqa utara karo
dil to kya chiz hai jaan se jaenge maut aane se pahle hi mar jaenge
ye ada dekhne wale luT jaenge yun na hans hans ke dilbar ishaara karo
fikr-e-uqba ki masti utar jaegi tauba TuTi to qismat sanwar jaegi
tum ko duniya mein jannat nazar aaegi shaiKH ji mai-kade ka nazara karo
KHubsurat ghaTaon-bhari raat mein lutf uThaya karo aisi barsat mein
jam le kar chhalakta hua hath mein mai-kade mein bhi ek shab guzara karo
kaam aae na mushkil mein koi yahan matlabi dost hain matlabi yar hain
is jahan mein nahin koi ahl-e-wafa ai 'fana' is jahan se kinara karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.