numud-e-rang se begana-war aai hai
numūd-e-rañg se begāna-vār aa.ī hai
ḳhizāñ kā bhes badal kar bahār aa.ī hai
malūl-o-muzmahil-o-be-qarār aa.ī hai
koī batā.e ye kaisī bahār aa.ī hai
asīr-e-ḳhāna-e-gulchīñ haiñ rañg-o-bū ai dost
ye kis ke ahd meñ aisī bahār aa.ī hai
suhāg adh-khilī kaliyoñ kā kis ne luuT liyā
bahār kis liye yuuñ sogvār aa.ī hai
chaman fasurda gul āzurda ġhunche pazhmurda
ḳhizāñ bahār pe hai yā bahār aa.ī hai
na barg-o-gul kī tamannā na rañg-o-bū kī havas
'sahāb' mujh ko ḳhizāñ sāz-gār aa.ī hai
numud-e-rang se begana-war aai hai
KHizan ka bhes badal kar bahaar aai hai
malul-o-muzmahil-o-be-qarar aai hai
koi batae ye kaisi bahaar aai hai
asir-e-KHana-e-gulchin hain rang-o-bu ai dost
ye kis ke ahd mein aisi bahaar aai hai
suhag adh-khili kaliyon ka kis ne luT liya
bahaar kis liye yun sogwar aai hai
chaman fasurda gul aazurda ghunche pazhmurda
KHizan bahaar pe hai ya bahaar aai hai
na barg-o-gul ki tamanna na rang-o-bu ki hawas
'sahab' mujh ko KHizan saz-gar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.