nur andhere ki fasilon pe saja deta hun
nuur añdhere kī fasīloñ pe sajā detā huuñ
maiñ siyāh-baḳht charāġhoñ ko jalā detā huuñ
pahle ik jism banātā huuñ kisī phuul pe phir
ek chehrā kisī patthar pe banā detā huuñ
din nikalte hī kise DhūñDne jaatā huuñ maiñ
raat ke pichhle pahar kis ko sadā detā huuñ
ek arse se ġham-e-hijr meñ masrūf hai tū
aa mire dil meñ tujhe kaam nayā detā huuñ
mujh sā saade bhī koī hogā zamāne meñ ki maiñ
apne qātil ko bhī umroñ kī duā detā huuñ
bahte dariyā kā badan Dhāñk ke ḳhushk āñkhoñ se
mom ke qalb ko patthar ki qabā detā huuñ
mustaqil rāh-e-suḳhan kā huuñ musāfir 'nāyāb'
gar thakan likh duuñ varaq par to miTā detā huuñ
nur andhere ki fasilon pe saja deta hun
main siyah-baKHt charaghon ko jala deta hun
pahle ek jism banata hun kisi phul pe phir
ek chehra kisi patthar pe bana deta hun
din nikalte hi kise DhunDne jata hun main
raat ke pichhle pahar kis ko sada deta hun
ek arse se gham-e-hijr mein masruf hai tu
aa mere dil mein tujhe kaam naya deta hun
mujh sa sade bhi koi hoga zamane mein ki main
apne qatil ko bhi umron ki dua deta hun
bahte dariya ka badan Dhank ke KHushk aankhon se
mom ke qalb ko patthar ki qaba deta hun
mustaqil rah-e-suKHan ka hun musafir 'nayab'
gar thakan likh dun waraq par to miTa deta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.