nur hi nur hai zulmat ke aaine mein
nuur hī nuur hai zulmāt ke ā.īne meñ
raqs kartī hai sahar raat ke ā.īne meñ
thak ga.iiñ DhūñDh ke jab aap ko merī nazreñ
mil ga.e aap ḳhayālāt ke ā.īne meñ
jab bhī māñgā hai kabhī apnī vafāoñ kā sila
un ko paayā hai savālāt ke ā.īne meñ
yaad mahkī jo tirī raat kī raanī ban kar
khil uThe phuul se jazbāt ke ā.īne meñ
aa girā vaqt ke paanī meñ kahāñ se kankar
ek halchal sī hai hālāt ke ā.īne meñ
dekh letā huuñ maiñ har roz hazāroñ chehre
apne guzre hue lamhāt ke ā.īne meñ
kyā huā shaam dhuāñ ban ke jo aa.ī hai 'kañval'
chāñd ubhregā abhī raat ke ā.īne meñ
nur hi nur hai zulmat ke aaine mein
raqs karti hai sahar raat ke aaine mein
thak gain DhunDh ke jab aap ko meri nazren
mil gae aap KHayalat ke aaine mein
jab bhi manga hai kabhi apni wafaon ka sila
un ko paya hai sawalat ke aaine mein
yaad mahki jo teri raat ki rani ban kar
khil uThe phul se jazbaat ke aaine mein
aa gira waqt ke pani mein kahan se kankar
ek halchal si hai haalat ke aaine mein
dekh leta hun main har roz hazaron chehre
apne guzre hue lamhat ke aaine mein
kya hua sham dhuan ban ke jo aai hai 'kanwal'
chand ubhrega abhi raat ke aaine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.