nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai
nuur kī kiran us se ḳhud nikaltī rahtī hai
vaqt kaTtā rahtā hai raat Dhaltī rahtī hai
aur zikr kyā kiije apne dil kī hālat kā
kuchh bigaḌtī rahtī hai kuchh sañbhaltī rahtī hai
zehn ubhār detā hai naqsh hāl-o-māzī ke
in dinoñ tabī'at kuchh yuuñ bahaltī rahtī hai
tah-nashīn maujeñ to pur-sukūn rahtī haiñ
aur sat.h-e-dariyā kī mauj uchhaltī rahtī haiñ
zindagī 'ibārat hai zindagī ke moḌoñ se
pech-o-ḳham hoñ kitne hī raah chaltī rahtī hai
chāhe apne ġham kī ho yā ġham-e-zamāna kī
baat to bahar-sūrat kuchh nikaltī rahtī hai
zindagī hai naam is kā tāzgī hai kaam is kā
ek mauj-e-ḳhūñ dil se jo ubaltī rahtī hai
kaif bhī hai mastī bhī zahr bhī hai amrit bhī
vo jo jām-e-sāqī se roz Dhaltī rahtī hai
ḳhud vajūdiyat ho ye yā ho us kī tanhā.ī
ruuh ko magar koī shai masaltī rahtī hai
aaj bhī burī kyā hai kal bhī ye burī kyā thī
is kā naam duniyā hai ye badaltī rahtī hai
hotī hai vo she'roñ meñ mun’akis kabhī 'e'jāz'
muddatoñ ghuTan sī jo dil meñ paltī rahtī hai
nur ki kiran us se KHud nikalti rahti hai
waqt kaTta rahta hai raat Dhalti rahti hai
aur zikr kya kije apne dil ki haalat ka
kuchh bigaDti rahti hai kuchh sanbhalti rahti hai
zehn ubhaar deta hai naqsh haal-o-mazi ke
in dinon tabi'at kuchh yun bahalti rahti hai
tah-nashin maujen to pur-sukun rahti hain
aur sath-e-dariya ki mauj uchhalti rahti hain
zindagi 'ibarat hai zindagi ke moDon se
pech-o-KHam hon kitne hi rah chalti rahti hai
chahe apne gham ki ho ya gham-e-zamana ki
baat to bahar-surat kuchh nikalti rahti hai
zindagi hai nam is ka tazgi hai kaam is ka
ek mauj-e-KHun dil se jo ubalti rahti hai
kaif bhi hai masti bhi zahr bhi hai amrit bhi
wo jo jam-e-saqi se roz Dhalti rahti hai
KHud wajudiyat ho ye ya ho us ki tanhai
ruh ko magar koi shai masalti rahti hai
aaj bhi buri kya hai kal bhi ye buri kya thi
is ka nam duniya hai ye badalti rahti hai
hoti hai wo she'ron mein mun’akis kabhi 'e'jaz'
muddaton ghuTan si jo dil mein palti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.