nur ki nadiyon mein wo tera nahana raat-bhar
nuur kī nadiyoñ meñ vo terā nahānā rāt-bhar
phir munavvar sā rahā saarā zamāna rāt-bhar
phir tirī yādoñ ke dariyā auj par aate ga.e
aa.ine ko phir tire qisse sunānā rāt-bhar
phir tirī yādoñ kī sham'eñ rāt-bhar jaltī rahīñ
phir tirī yādoñ meñ vo jagnā jagānā rāt-bhar
phir khule gesū liye vo chāñd taare dekhnā
maiñ ne dekhā chāñd tāroñ ko divāna rāt-bhar
phir uThānā naaz tere aur tabassum dekhnā
chāñd se tāroñ se phir bāteñ banānā rāt-bhar
tere lahje kī vo shoḳhī aur sharārat aañkh meñ
phir mire vo hosh kā jā kar na aanā rāt-bhar
raat kī tārīkiyoñ meñ terī āñkhoñ kī chamak
kahkashāñ se āsmāñ kā jagmagānā rāt-bhar
tujh badan kī ḳhushbūoñ meñ Duub kar tajnā jahāñ
mast-o-raqsāñ vajd se bāhar na aanā rāt-bhar
nur ki nadiyon mein wo tera nahana raat-bhar
phir munawwar sa raha sara zamana raat-bhar
phir teri yaadon ke dariya auj par aate gae
aaine ko phir tere qisse sunana raat-bhar
phir teri yaadon ki sham'en raat-bhar jalti rahin
phir teri yaadon mein wo jagna jagana raat-bhar
phir khule gesu liye wo chand tare dekhna
main ne dekha chand taron ko diwana raat-bhar
phir uThana naz tere aur tabassum dekhna
chand se taron se phir baaten banana raat-bhar
tere lahje ki wo shoKHi aur shararat aankh mein
phir mere wo hosh ka ja kar na aana raat-bhar
raat ki tarikiyon mein teri aankhon ki chamak
kahkashan se aasman ka jagmagana raat-bhar
tujh badan ki KHushbuon mein Dub kar tajna jahan
mast-o-raqsan wajd se bahar na aana raat-bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.