nur paiham safar mein rahta hai
nuur paiham safar meñ rahtā hai
us kā chehrā nazar meñ rahtā hai
us se manzil kī azmateñ pūchho
jo musalsal safar meñ rahtā hai
pā-e-nāzuk sañbhāl kar rakhnā
dil tirī rah-guzar meñ rahtā hai
mujh meñ ḳhāmī talāshne vaale
'aib to har bashar meñ rahtā hai
ḳhairiyat pūchhī shukriya varna
kaun kis kī ḳhabar meñ rahtā hai
fā.eda kyā lahū jalāne se
jab añdherā hī ghar meñ rahtā hai
kyā karūñ le ke is havelī ko
merā maazī khañDar meñ rahtā hai
vo bulandī ko chhū nahīñ saktā
jo agar aur magar meñ rahtā hai
nur paiham safar mein rahta hai
us ka chehra nazar mein rahta hai
us se manzil ki azmaten puchho
jo musalsal safar mein rahta hai
pa-e-nazuk sanbhaal kar rakhna
dil teri rah-guzar mein rahta hai
mujh mein KHami talashne wale
'aib to har bashar mein rahta hai
KHairiyat puchhi shukriya warna
kaun kis ki KHabar mein rahta hai
faeda kya lahu jalane se
jab andhera hi ghar mein rahta hai
kya karun le ke is haweli ko
mera mazi khanDar mein rahta hai
wo bulandi ko chhu nahin sakta
jo agar aur magar mein rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.