oDh kar dard ki is dhup ko jalte rahiye
oḌh kar dard kī is dhuup ko jalte rahiye
ḳhaar mil jaa.eñ to phir ḳhāroñ pe chalte rahiye
zindagī se hai pare chaah kī parchhā.īyāñ
raat din dard ke sannāToñ meñ palte rahiye
ek show ban ke tumheñ jiinā paḌegā har din
zahr jitnā bhī mile us ko nigalte rahiye
aap se koī bhī ummīd nahīñ marham kī
aap to sirf namak zaḳhmoñ pe malte rahiye
aur baḌh jā.egī kuchh rang-e-hinā.ī us kī
bas hathelī pe lahū ko mire malte rahiye
aap ke naam se mansūb ho ġhazleñ merī
lafz ban kar mire ash'ār meñ Dhalte rahiye
ḳhud-baḳhud haar ke insāf chalā jā.egā
sirf tārīḳh pe tārīḳh badalte rahiye
āstīnoñ meñ inheñ pālte rahiye lekin
in sapoloñ ke zarā phan bhī kuchalte rahiye
manzileñ duur haiñ par hausla rakhiye 'armān'
aap kā farz masāfat hai to chalte rahiye
oDh kar dard ki is dhup ko jalte rahiye
KHar mil jaen to phir KHaron pe chalte rahiye
zindagi se hai pare chah ki parchhaiyan
raat din dard ke sannaTon mein palte rahiye
ek show ban ke tumhein jina paDega har din
zahr jitna bhi mile us ko nigalte rahiye
aap se koi bhi ummid nahin marham ki
aap to sirf namak zaKHmon pe malte rahiye
aur baDh jaegi kuchh rang-e-hinai us ki
bas hatheli pe lahu ko mere malte rahiye
aap ke nam se mansub ho ghazlen meri
lafz ban kar mere ash'ar mein Dhalte rahiye
KHud-baKHud haar ke insaf chala jaega
sirf tariKH pe tariKH badalte rahiye
aastinon mein inhen palte rahiye lekin
in sapolon ke zara phan bhi kuchalte rahiye
manzilen dur hain par hausla rakhiye 'arman'
aap ka farz masafat hai to chalte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.