oDh kar jo barf ka kambal gaya
oḌh kar jo barf kā kambal gayā
aag se vo shaḳhs kaise jal gayā
ābla-pā.ī ne himmat toḌ dī
phir musāfir apne sar ke bal gayā
kar rahī hai jo baġhāvat ye havā
āshiyāñ panchhī kā us ko khal gayā
jism zaḳhmī tīrgī kā ho gayā
haath meñ le kar koī mash'al gayā
husn-e-jānāñ kā safar sūraj sā hai
sub.h chamkā shaam ko phir Dhal gayā
haath merā koī sandal to nahīñ
saañp kaise āstīñ meñ pal gayā
pyaas ne āvāz dariyā ko na dī
kaam phir se āñsuoñ se chal gayā
oDh kar jo barf ka kambal gaya
aag se wo shaKHs kaise jal gaya
aabla-pai ne himmat toD di
phir musafir apne sar ke bal gaya
kar rahi hai jo baghawat ye hawa
aashiyan panchhi ka us ko khal gaya
jism zaKHmi tirgi ka ho gaya
hath mein le kar koi mash'al gaya
husn-e-jaanan ka safar suraj sa hai
subh chamka sham ko phir Dhal gaya
hath mera koi sandal to nahin
sanp kaise aastin mein pal gaya
pyas ne aawaz dariya ko na di
kaam phir se aansuon se chal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.