oDh kar shaal teri yaadon ki ghar jata hun
oḌh kar shaal tirī yādoñ kī ghar jaatā huuñ
ghar na jā.ūñ to sar-e-rāh bikhar jaatā huuñ
sard mausam ke thapeḌoñ se jo naḳhl-e-gul par
choT paḌtī hai to kuchh aur sañvar jaatā huuñ
husn vāloñ pe to detā huuñ hamesha pahra
vādī-e-'ishq meñ be-laus utar jaatā huuñ
marne vāloñ ko jalāne meñ maza aatā hai
jiine vāloñ pe to maiñ roz hī mar jaatā huuñ
soch ko aag dikhātā huuñ tire chehre kī
aag ko dil meñ lagā kar maiñ nikhar jaatā huuñ
din ko kahtā huuñ nahīñ yaad nahīñ karnā use
shaam ko apne hī vā'de se mukar jaatā huuñ
oDh kar shaal teri yaadon ki ghar jata hun
ghar na jaun to sar-e-rah bikhar jata hun
sard mausam ke thapeDon se jo naKHl-e-gul par
choT paDti hai to kuchh aur sanwar jata hun
husn walon pe to deta hun hamesha pahra
wadi-e-'ishq mein be-laus utar jata hun
marne walon ko jalane mein maza aata hai
jine walon pe to main roz hi mar jata hun
soch ko aag dikhata hun tere chehre ki
aag ko dil mein laga kar main nikhar jata hun
din ko kahta hun nahin yaad nahin karna use
sham ko apne hi wa'de se mukar jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.