oDhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah
oḌhī ridā-e-dard bhī hālāt kī tarah
tārīkiyoñ meñ Duub ga.e raat kī tarah
sheva nahīñ ki shola-e-ġham se kareñ gurez
har zaḳhm hai qubūl na.ī baat kī tarah
niiñd aa rahī hai karb kī āġhosh meñ mujhe
siine pe dast-e-ġham hai tire haat kī tarah
maiñ apne aap se kabhī bāhar na aa sakā
uljhā rahā huuñ ḳhud maiñ ḳhayālāt kī tarah
hairān huuñ ki ḳhud ko bhī pahchāntā nahīñ
jazbe badal rahe haiñ rusūmāt kī tarah
vo dauḌ hai ki apnī havā bhī na chhū sakūñ
uḌtī hai merī fikr bhī lamhāt kī tarah
kyā gul khilā.e merī udāsī kī lahr ne
zehnoñ ke reg-zār meñ barsāt kī tarah
kyā bastiyoñ kā zikr ki ehsās kī tapish
jañgal jalā ga.ī mire jazbāt kī tarah
kyā ḳhuub āshnā haiñ ki pahchānte nahīñ
jab bhī mile to pahlī mulāqāt kī tarah
duniyā kā dard apne dukhoñ meñ sameT kar
mahsūs kar rahā huuñ ġham-e-zāt kī tarah
ahbāb kis ḳhulūs se 'zulfī' mirī ġhazal
rakhte haiñ dil ke taaq meñ sauġhāt kī tarah
oDhi rida-e-dard bhi haalat ki tarah
tarikiyon mein Dub gae raat ki tarah
shewa nahin ki shola-e-gham se karen gurez
har zaKHm hai qubul nai baat ki tarah
nind aa rahi hai karb ki aaghosh mein mujhe
sine pe dast-e-gham hai tere hat ki tarah
main apne aap se kabhi bahar na aa saka
uljha raha hun KHud main KHayalat ki tarah
hairan hun ki KHud ko bhi pahchanta nahin
jazbe badal rahe hain rusumat ki tarah
wo dauD hai ki apni hawa bhi na chhu sakun
uDti hai meri fikr bhi lamhat ki tarah
kya gul khilae meri udasi ki lahr ne
zehnon ke reg-zar mein barsat ki tarah
kya bastiyon ka zikr ki ehsas ki tapish
jangal jala gai mere jazbaat ki tarah
kya KHub aashna hain ki pahchante nahin
jab bhi mile to pahli mulaqat ki tarah
duniya ka dard apne dukhon mein sameT kar
mahsus kar raha hun gham-e-zat ki tarah
ahbab kis KHulus se 'zulfi' meri ghazal
rakhte hain dil ke taq mein saughat ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.